Thursday, 21 March 2013

Chali hy rasm kay koi na sar utha k chaly by FAIZ AHMAD


Nisaar maiN teri galyooN ky aye watan, keh jahaaN,
chali he rasm keh koyi nah sar uthaa ky chaley



jo koyi chahnewala tawaaf ko nikley
nazar chura key chaley, jism-o-jaaN bachaa key chaley
he ehl-e-dil ky liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad
keh sang-o-khisht muqeyad haiN aur sag aazad
buhat haiN zulm ky dast-e-bahaanaa-juu ke liye
jo chand ehl-e-junooN tery naam lewaa haiN
baney haiiN ehl-e-hawas muddaai bhi, munsif bhi
kisey wakeel kareeN, kiss sey munsafii chaaheeN
magar guzaranewalooN key din guzarate haiN
tery firaaq meiN yuuN subh-o-shaam kartey haiN
bujha jo rauzan-e-zandaaN to dil yeh samjha he
ki terii maa.ng sitaaro.n se bhar gaii hogii
chamak uthe haiN salaasil to ham ney jaana he
ki ab sahar tere ruKh par bikhar gaii hogii
Gharaz tasawur-e-shaam-o-sahar meiN jeetey haiN
giraft-e-saayaa-e-diwaar-o-dar meiN jeetey haiN
yooN hi hameesha uljhati rahi he zulm se Khalq
nah un ki rasm nayi he, na apni reet nayi
Faiz ahmad faiz
Ahmad faiz...bukhariwebs.blogspot.com
yooN hi hameesha khelaaye haiN ham ney aag meiN phool
na un ki haar nayi he na apnii jeet nayi
isi sabab se falak ka gilaa naheen kartey
tery feraaq meiN ham dil buraa naheeN kartey
Gar aaj tujh sey judaa haiN to kal baham hoonge
ye raat bhar ki judaii to koyi baat naheen
Gar aaj auj pe he taala-e-raqeeb to kya
ye chaar din ki Khudaii to koyi baat naheen
jo tujh sy ehd-e-wafaa istavaar rakhtey haiN
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhtey haiN

(Faiz)

0 comments:

Post a Comment