Saturday 12 July 2014

Khud ko taqseem na kara mere saray logo By Ahamd Faraz

Ab mere dosray bazoo pe wo shamsheer hai jo
Is se pehle bhi mera nisf badan kaat chuki,
Usi bandooq ki goli/nali hai meri samt ke jo
Is se pehle bhi meri shah rag ka lahu chaat chuki,


Phir wohi aag dhar aye hai meri galyuun mein
Phir mere sehn mein barood ki boo pheli hai,
Phir se tu kaun hai mein kaun hoon aapas mein sawal
Phir wohi soch mayan man o tu pheli hai

Meri Basti se parey bhi mere dushman hongey
Per yahan kab koi aghyaar ka lashker utra
Ashnaa haath hi aksar mari jaanib lapkey
Mere seeney mein mera apna hi khanjar utra.

Phir wohi khauf ki deewar, tazabzub ki faza
Phir hui aam wohi ahl e riya ki baatein
Nara e hubbe watan, maal e tajarat ki tarah
Jins e ajzaan ki tarah, deen e Khuda ki baatein

Is se pehle bhi to aisi hee gadi aye thee
Subh e wehshat ki tarah shaam e gharibaan ki tarah
Is se pehle bhi to paimaan e wafa tootay thay
Sheesha dil ki tarah aina e jaan ki tarah

Phir kahan ahmeri hoton pe duaon ke diye
Phir kahan shabnami chehron pe refaqat ki rida
Sandali paon se mastana ravi rooth gai
Marmari haathon pe jal bujh gaya angaar e hina

Dil nashin aankhon mein furqat zada kaajal roya
Shaakh e bazoo ke liye zulf ka baadal roya

Misl e pairahan e gul phir se badan chaak hue
Jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke teer
Is se pehle bhi hua chand muhabbat ka do neem
Noke e dashna sey khinchi thi meri matti pe lakeer

Ab magar aisa nahee aisa nahee honay dena
Aye mere sokhta jaano mere pyaare logon
Ab ke gar zalzaley aaye to qayamat hogi
Mere dil geer mere dard ke maare logon
Kisi ghasib, kisi zaalim/ kisi jaabir kisi hakim ke liye
Khud ko taqseem na kara mere saray logo

(Ahmed Faraz)

0 comments:

Post a Comment