Monday 23 June 2014

Dua by Faiz Ahmad Faiz Aaiye hath uthaiain hum bhi

Aaiye hath uthaiyeN hum bhi
Hum jinheN rasm-e-dua yaad nahiN

Hum jinheN soz-e-mohabbat ke siwa
Koyee butt koyee khuda yaad nahiN

Aaiye arz guzaraiN keh nigaar-e-hasti
Zehr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de

Woh jinheN taab-e-garaaN baariye ayyam nahiN
Un kee palkoN peh shab-o-roz ko halka kar de

Jinn kee aankhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi nahiN
Un ki raatoN meiN koi shama munawwar kar de

Jin ke qadmoN ko kisi reh ka sahara bhi nahiN
Un ki nazroN pe koyee raah ujaagar kar de

Jin ka deeN pairawi-e-kizb-o-riya hai un ko
Himmat-e-kufr milay jurrat-e-tehqeeq milay

Jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa haiN un ko
Dast-e-qatil ko jhatak dainay ki taufeeq milay

Ishq ka sirr-e-nihaN jaan tipa hai jis se
Aaj iqrar kareiN aur tapish mit jaye

Harf-e-haq dil meiN khatakta hai jo kaante ki tarah
Aaj izhaar kareiN aur khalish mit jaye

"Faiz Ahmed Faiz" (1911 - 1984) 

0 comments:

Post a Comment