Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Saturday, 12 July 2014

Ab mere dosray bazoo pe wo shamsheer hai jo
Is se pehle bhi mera nisf badan kaat chuki,
Usi bandooq ki goli/nali hai meri samt ke jo
Is se pehle bhi meri shah rag ka lahu chaat chuki,


Phir wohi aag dhar aye hai meri galyuun mein
Phir mere sehn mein barood ki boo pheli hai,
Phir se tu kaun hai mein kaun hoon aapas mein sawal
Phir wohi soch mayan man o tu pheli hai

Meri Basti se parey bhi mere dushman hongey
Per yahan kab koi aghyaar ka lashker utra
Ashnaa haath hi aksar mari jaanib lapkey
Mere seeney mein mera apna hi khanjar utra.

Phir wohi khauf ki deewar, tazabzub ki faza
Phir hui aam wohi ahl e riya ki baatein
Nara e hubbe watan, maal e tajarat ki tarah
Jins e ajzaan ki tarah, deen e Khuda ki baatein

Is se pehle bhi to aisi hee gadi aye thee
Subh e wehshat ki tarah shaam e gharibaan ki tarah
Is se pehle bhi to paimaan e wafa tootay thay
Sheesha dil ki tarah aina e jaan ki tarah

Phir kahan ahmeri hoton pe duaon ke diye
Phir kahan shabnami chehron pe refaqat ki rida
Sandali paon se mastana ravi rooth gai
Marmari haathon pe jal bujh gaya angaar e hina

Dil nashin aankhon mein furqat zada kaajal roya
Shaakh e bazoo ke liye zulf ka baadal roya

Misl e pairahan e gul phir se badan chaak hue
Jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke teer
Is se pehle bhi hua chand muhabbat ka do neem
Noke e dashna sey khinchi thi meri matti pe lakeer

Ab magar aisa nahee aisa nahee honay dena
Aye mere sokhta jaano mere pyaare logon
Ab ke gar zalzaley aaye to qayamat hogi
Mere dil geer mere dard ke maare logon
Kisi ghasib, kisi zaalim/ kisi jaabir kisi hakim ke liye
Khud ko taqseem na kara mere saray logo

(Ahmed Faraz)

Friday, 11 July 2014


Teri umeed, tera intezar jab se hai
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai,

Kisi ka dard ho karte haiN tere naam raqam
Gilaa hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai,

Hua hai jab se dil E na saboor be – qaboo
Kalam tujh se nazar ko baRe adab se hai,

Agar sharar hai to bhaRke, jo phool hai to khile,
Tarah tarah ki talab, tere rang e lab se hai,

KahaaN gaye shab E furqat ke jaagne wale
Sitaara e sehari hum kalaam kab se hai

(Faiz Ahmad Faiz)

Monday, 30 June 2014

zandaan ki aik sham

Translation:

Each star a rung,
night comes down the spiral
staircase of the evening.
The breeze passes by so very close
as if someone just happened to speak of love.
In the courtyard,
the trees are absorbed refugees
embroidering maps of return on the sky.
On the roof,
the moon - lovingly, generously -
is turning the stars
into a dust of sheen.
From every corner, dark-green shadows,
in ripples, come towards me.
At any moment they may break over me,
like the waves of pain each time I remember
this separation from my lover.
This thought keeps consoling me:
though tyrants may command that lamps be smashed
in rooms where lovers are destined to meet,
they cannot snuff out the moon, so today,
nor tomorrow, no tyranny will succeed,
no poison of torture make me bitter,
if just one evening in prison
can be so strangely sweet,
if just one moment anywhere on this earth.
Translation by: Agha Shahid Ali

Chand Roz Or meri Jaan Faqat chand hi Roz:

Chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
zulm ki chanoon main dam lene par majbur hain ham
ik zara aur sitam sah len tarap len ro len
apne ajdad ki miras hai mazur hain ham
jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis k qaba hai
jis main har ghari dard k paivand lage jate hain
lekin ab zulm k miyad k din thore hain
ik zara sabr k fariyad k din thore hain
arsa-e-dahar ki jhulsi hui wirani main
ham ko rahna hai par yun hi to nahin rahna hai
ajnabi hathon ka benam garan-bar sitam
aj sahna hai hamesha to nahin sahna hai
ye teri husn se lipti hui alaam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar
chandani raton ka bekar dahakta hua dard
dil k besud tarap jism ki mayus pukar
chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

Translation:

Only a few days, dear one, a few days more.


Only a few days, dear one, a few days more.
Under oppression’s shadows condemned to breathe,
Still for a time we must bear them, and tears, and
endure
What our forefathers, not our own faults, bequeath:
Fettered limbs, each impulse held on a chain,
Minds in bondage, our words all watched and set down
Courage still nerves us, or how should we still exist,
Now with existence only a beggar’s gown,
Tattered, and patched every hour with new rags of p
ain?
Yes, but to tyranny not many hours are left now;
Patience a little, few hours of lamenting remain.
In this parched air of an age that desert sands choke
We must stay now—not forever and ever stay!
Under this load beyond words of a foreign yoke
We must submit for a while—not for ever submit!
Dust of affliction that clings to your beauty today,
Crosses unnumbered that mar our few mornings of youth,
Torment of silver nights, a pain with no cure,
Heartache unanswered, the body’s long cry of despair
Only a few days, dear one, a few days more.

Translated by:Victor Kiernan

Monday, 23 June 2014

Aaiye hath uthaiyeN hum bhi
Hum jinheN rasm-e-dua yaad nahiN

Hum jinheN soz-e-mohabbat ke siwa
Koyee butt koyee khuda yaad nahiN

Aaiye arz guzaraiN keh nigaar-e-hasti
Zehr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de

Woh jinheN taab-e-garaaN baariye ayyam nahiN
Un kee palkoN peh shab-o-roz ko halka kar de

Jinn kee aankhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi nahiN
Un ki raatoN meiN koi shama munawwar kar de

Jin ke qadmoN ko kisi reh ka sahara bhi nahiN
Un ki nazroN pe koyee raah ujaagar kar de

Jin ka deeN pairawi-e-kizb-o-riya hai un ko
Himmat-e-kufr milay jurrat-e-tehqeeq milay

Jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa haiN un ko
Dast-e-qatil ko jhatak dainay ki taufeeq milay

Ishq ka sirr-e-nihaN jaan tipa hai jis se
Aaj iqrar kareiN aur tapish mit jaye

Harf-e-haq dil meiN khatakta hai jo kaante ki tarah
Aaj izhaar kareiN aur khalish mit jaye

"Faiz Ahmed Faiz" (1911 - 1984) 

Wednesday, 18 June 2014

meer taki meer shair
Khaak Se Aadam Kr Ke Uthaaya Jisko Dast-e-Qudrat Ne,,,
Qadar Nahi Kuch Is Bande Ki Ye Bhi Khuda Ki Qudrat Hai...

Thursday, 1 May 2014

Old poor

Hasratain zeest ko ghery main liye rakhti hain,
Khasta diwaar sy cimty hoye jaalon ki tarhan,

Zindagi khushk hy viraan hy afsurda hy,
Aik mazdoor k bikhry hoye baalon ki tarhaan.

1st may world's Labour Day

History of 1st may Labours day:-

It is Celebrated in the memory of those labours who was killed by U.S military during the strike of Pullaman Strike in Chicago.

Tuesday, 22 April 2014

poetry girl beautiful
     

     meri tasveer meiN rang aur kisi ka to nahiN
     gher le muJhko sab aaNkheN maiN tamasha to nahiN

     zindagi tuJhse se har ik saaNs pe samJhauta karooN
     ShoK jeene ka hai mujh ko magar itna to nahin

     rooh ko dard mila dard ko aaNkheN na mili
     tuJhko mehsoos kiya hai tuJhse dekha to nahiN

     soNchte soNchte dil dooBne lagta hai mera
     zehaN kee tay meiN 'muzaffar' koi dariya to nahiN

Saturday, 19 April 2014

most beautiful eyes of the world

In Aankhon ki masti k mastaany hazaaron hain,
In aankhon sy wabasta afsaany hazarun hain,
(Masti=excitement)

Aik tum hi nahin tanhaa, ulfat main meri ruswaa,
Is shehr main tum jesy diwaany hazaron hain,
(Ulfat=Love), (Diwany=Mad)

Aik sirf hum hi may ko aankhon sy pilaaty hain,
Kehny ko to duniaa main maykhaany hazaron hain,
(May=wine) (Maykhana=Place of dinking)

Is shaam-e-farozaan ko aandhi sy daraty ho,
Is shaam-e-farozaan k parwaany hazarun hain. . .



Saturday, 12 April 2014

Ay saaqi-e-Gulfaam buraa ho tera tu ny,
Baaton main lubhaa kar hamai wo jaam pilaya,
Ye haal hy so saal ghulaami main basar ki,
Or hoosh hamin ab bhi mukamal nahin aya. . .


(Mirza Muhmmad Sarhadi)

Tuesday, 8 April 2014

Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja K La
Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja K La...
Bujhta Huwa Diya Na Muqabil Hawa K La...

Darya Ka Intiqaam Dabo De Na Ghar Tera...
Saahil Se Roz Roz Na Kankar Utha K La...

Thori Si Aur Mauj Main Aa Ay Hawa-e-Gul...
Thori Si Us K Jism Ki Khushboo Chura K La...

Samaan Wafa Ka Bandh Magar Soch Soch Kar...
Is Ibtidaa Main Youn Na Sakhat Inteha K La...

Gar Dekhna Hai Ehl-e-Mashiyat Ka Hosla...
Maidaan Se Ghar Main Ek Maiyet Utha K La...

Mohsin Ab Us Ka Naam Hai Sab Ki Zubaan Par...
Kis Ne Kaha Tha Us Ko Ghazal Main Saja K La...


Urdu Format:

فنکار ہے تو ہاتھہ پہ سورج سجا کے لا  
بجھتا ہوا دیا......... نہ مقابل ہوا کے لا

دریا کا انتقام ڈبو دے نہ گھر تیرا
ساحل سے روز روز نہ کنکر اٹھا کے لا

اب اختتام کو ہے سخی حرف التماس
کچھہ ہے تو اب وہ سامنے دست دعا کے لا

پیماں وفا کے باندھ مگر سوچ سوچ کر
اس ابتدا میں یوں نہ سخن انتہا کے لا

آرائش جراحت یاراں کی بزم میں
جو زخم دل میں ہیں سبھی تن پر سجا کے لا

تھوڑی سی اور موج میں آ اے ہوائے گل
تھوڑی سی اس کے جسم کی چرا کے لا

گر سوچنا ہیں اہل مشیت کے حوصلے
میداں سے گھر میں ایک تو میت اٹھا کے لا

محسن اب اس کا نام ہے سب کی زبان پر
کس نے کہا کہ اس کو غزل میں سجا لا

Sunday, 23 March 2014

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gya
Mazi To Sunehra Hai Magar Haal Kho Gya

Wo Roub-O-Dabdaba Wo Jalal Kho Gya
Wo Hasn Be-Misaal Jo Jamal Kho Gya

Dobe Hain Jawabon Mai Per Sawal Kho Gya
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gya

Urte Jo Fizaon Mai Thay
Shaheen Na Rahe, Bazouq Na Rahe

Zaheen Na Rahe, Pakiza Na Rahe
Ba-Deen Na Rahe, Wo Lala-O-Gulzar

Wo Mah Jabeen Na Rahe
Momin Ka Wo Andaz-E-Bakamal Kho Gya
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gya. . .

Friday, 7 March 2014

main baaghi hun



Is door k rasm riwaajon sy,
in takhton sy in taajon sy,
Jo zulm ki kookh sy janty hain,
Insaani khon sy palty hain,
Jo nafrat ki buniaadain hain,
or khoon k hait ki khaadain hain,
Main baaghi hun main baaghi hun,
J0 chahye mujh py zulm karo,

Wo jin k hoont ki jambish sy,
wo jin ki aankh ki larzish sy,
Qanoon badaly rehty hain,
Or mujhrim palty rehty hain,
In chooron k sardaron sy,
insaaf k pehry daaron sy,
main baaghi hun, main baaghi hun,
Jo chahye mujh py zulm karo,

Mazhab k jo byopaari hain,
wo sab sy bari bimaari hain,
Wo jin k siwaa sab kafir hain,
jo deen k harf-e-aakhir hain,
In jhhoty or makaron sy,
mazhab k pehra daaron sy,
Main baaghi hun, Main baaghi hun
Jo cahahye mujh py zulm karo,

Mery haath main haq ka jhandaa hy,
Mery sar py zulm ka phandaa hy,
Main marny sy kab darta hun,
Main mout ki khaatir zinda hun,
Mery khoon ka suraj chamky ga,
to bacha bacha booly ga,
MAIN BAAGHI HUN MAIN BAAGHI HUN,
JO CHAHYE MUJH PY ZULM KARO. . .

By: (HABIB JALIB)

Friday, 28 February 2014

ghazlain-to-kahin-hain-hum-ny by habib jalib
Ghazlain to kuch kahin hain hum ny, in sy kaha ehwaal to kia,
Kal mil-e-sitaara ubhray ga, hain aaj agar ubrhain gy to kia,

Jeeny ki dua deny waaly, ye raaz tujhy maloom kahan,
Tahkeek ka aik lamha hy boht, Bekaar jeye so saal to kia,

Sikoon k arz jo bik jaye, wo meri meri nazar main husn nahin,
Ay shama-e-Shabistaan-e- dolat! to jo hy pari tamsaal to kia,

Har phool k lab par naam mera, Charchaa hy chaman main aam mera,
Shurat ki ye dolat kia kam hy?  Gar paas nahin hy maal to kia,

Hum ahle-e-mohbat paa lain gy apny hi sahary manzil ko,
Yaraan-e-siasat ny har soo phelaye hain rangeen jaal to kia,

DUNIAY-E-ADAB MAIN AY JALIB APNI BHI KOI PEHCHAAN HO,
IQBAL KA RANG ORHANY SY TU BAN BHI GYA IQBAL TO KIA?

Tuesday, 25 February 2014

wo dilawar jo siaah shab k shikari nikly
Wo dilawar jo siaah shab kay shikaari nikly,
Wo bhi charhty hoye soraj kay pojaari niklay,

Sab kay honton pay hain mery baad meri baatin,
Mery dushman mery lafzoon k bhekari niklay,

Aik janaaza utha maqtal sy ajab shaan k saath,
Jesy saj kar kisi faateh ki sawaari niklay,

Behty askhon sy shoaaon ki sabelain phootin,
Chubhtay zakhmon sy fan-e-naksh nigari niklay,

Hum ko har door k pathar ny salaami di hy,
Hum wo pathar hain jo har door main bhaari niklay,

Aks koi bhi ho khad-o-khaal tumhary dekhon,
bazm koi ho magar baat tumhari niklay,

Apny dushman sy main Be wajaa khafa tha "Mohsin"
Mery qaatil to mery apny Hawari niklay. . .

Meaning of difficult words:
  • World                   Urdu Meaning          English meaning
  • Dilawar                    Bahadur                    Brave
  • Siaah                         kalaa                         Dark
  • Poojari                    Puja karny wala         Worshiper
  • Shoaain                     Kirnain                       Rays
  • Khad-o-khaal           Nishaanian               Clues
  • Bazm                         Mehfil                  Community
  • Hawari                     Saathi                      Friend

Sunday, 23 February 2014

Allamah iqbal
  • Allah sy kary do0r to taleem bhi fitna,
    amlaak bhi, olaad bhi, jageer bhi fitna,
    Na haq k liye uthy to shamsheer bhi fitn,
    Shamsheer hi kia Nara-e-taqbeer bhi fitna. . .

Friday, 21 February 2014

sehn e ghurbat main ay moot

                          Sehn-e-ghurbat main ay qazaa dair sy mat aya kar,
                         Kharch tadfeen ka lag jata hy yahan bimaari par. . .

Thursday, 20 February 2014

tum a gaye ho by nasir kazmi


Tum aa gaye ho, Kion intazaar-e-sham karin,
kaho to, kion na abhi sy kuch ahtamaam karin,

khaloos-o-mehr-o-wafa loog kar chuky hain boht
mery khayaal main an koi or kaam karin,

Ye khaas-0-aam ki guftago kab tak,
qabool ki jiye jo faisla awaam karin,

Har aadmi nahin shaista ramooz-e-sukhan,
wo kam sukhan ho, mukhatib to hum kalaam karain,

Juda hoye hain boht loog aik tum bhi sahi,
ab itni baat py kia zindagi haraam karin,

Khuda agar kabhi aktyaar dy hum ko,
to pehly khaak nasheenon ka intazaam karin,

Raah-e-talb main jo gum naam mar gaye NASIR,
Mata-e-dard inhin saathi0n k naam karin. . .

Saturday, 15 February 2014

dog and goat friendship
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
to woh hamla nahi kerta,
darkhton ki ghani chauN main ja ker let jaata hai,

Hawa ke tez jhonke jub darkhtoN ko hilate hain
to maina apne bacche chor ke ,
kawwe ke andon ko paron se tham leti hai

Suna hai ghonsle se koi bachha gir pare to
sara jangal jaag jaata hai,

Suna hai jub kisi naddi ke paani main
baye ke ghonsle ka gandumi saaya larzta hai,
to naddi ki rupehli machlian use parosi maan leti hain

Koi toofan aa jaaye koi pul toot jaaye
to kisi lakri ke takhte per
ghilari, saanp, bakri aur cheetah saath hote hain,

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,

Khuda wanda, jaleel-o-mautabar,
daana-o-beena, munseef-o-akbar
mere is shahr main
ab janglon hi ka koi qanoon naafiz kar. . .

Source (http://zindagi-ki-diary.blogspot.com/2009/10/suna-hai-janglon-ka-bhi-koi-dastoor.html)

Monday, 1 April 2013

Alone man
bukhariwebs.blogspot.com

Goya Andaz-e-Tazeem Hai Ameeron Jaisa,
Mere Andar Ka Hai Insan Faqeeron Jaisa.

Humne Chehre Pe Saja Rakhi Hai Shehr Ki Ronaq,
Mery Dil Ka Aalam Hai Veeran Jazeron Jaisa.

Us K Osaf-o-Khasail Ne Mujhe Jeet Lia,
Mere Mureedon Main Tha Wo Shakhs Peeron Jaisa,

Is Se Pehle Bhi Aseeri Thi Rehaaii Jaisi,
Ab K Azadi Main Hai Haal Aseeron Jaisa,

Usko Ganwa K Hain Khasaray Ab Tak MOHSIN,
Wo Jo Ek Shaks Tha Mere Haath Main Heeron Jaisa..