Saturday, 15 February 2014

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

dog and goat friendship
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
to woh hamla nahi kerta,
darkhton ki ghani chauN main ja ker let jaata hai,

Hawa ke tez jhonke jub darkhtoN ko hilate hain
to maina apne bacche chor ke ,
kawwe ke andon ko paron se tham leti hai

Suna hai ghonsle se koi bachha gir pare to
sara jangal jaag jaata hai,

Suna hai jub kisi naddi ke paani main
baye ke ghonsle ka gandumi saaya larzta hai,
to naddi ki rupehli machlian use parosi maan leti hain

Koi toofan aa jaaye koi pul toot jaaye
to kisi lakri ke takhte per
ghilari, saanp, bakri aur cheetah saath hote hain,

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,

Khuda wanda, jaleel-o-mautabar,
daana-o-beena, munseef-o-akbar
mere is shahr main
ab janglon hi ka koi qanoon naafiz kar. . .

Source (http://zindagi-ki-diary.blogspot.com/2009/10/suna-hai-janglon-ka-bhi-koi-dastoor.html)

0 comments:

Post a Comment