1. laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
tanha
gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur
[
laazim = necessary, tanha = alone ]
2. mit
jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hooN
dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur
[ dar
= door, naasiyaa = forehead, farsa = to kneel down and touch
the
forehead on the ground as in prostrate ]
3.
aaye ho kal aur aaj
hee kehte ho ki jaaooN
maana
ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur
4.
jaate huve kahte
ho, qayaamat ko milenge
kya
khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?
5. haaN
'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif'
kya tera bigaData
jo na marta koee din aur ?
[
falak = sky/heaven, falak-e-peer = reffering to the sky ]
6. tum
maah-e-shab-e-char_dahum the; mere
ghar ke
phir
kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?
[
maah-e-shab-e-char_dahum = moon of the fourteenth night ]
7. tum
kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta malak_ul_maut taqaaza
koee din aur ?
[ daad
= justice, sitad = to take (Note : the word 'sitad'
is
not used by itself, but is used along with 'daad' as
in
'daad-o-sitad', meaning 'buyling and selling'/'settlement
of
accounts'. I have given separate meanings of the words
for
the benefit of the readers.), malak = an angel,
malak_ul_maut = angel of death, taqaaza = demanding/pressing
settlement of a claim ]
8.
mujhse tumhaiN nafrat sahee,
'nayyar' se laDaayee
bachhoN ka bhee dekha na
tamaasha koee din aur ?
9. guzree
na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush
karna
tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur
[
baharhaal = in any case, javaaN_marg = one who dies young ]
10.
naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib'
qismat meiN hai marne ki
tamanna koee din aur ?
0 comments:
Post a Comment